Shayari
andheri shab kaa ye khvaab-manzar mujhe ujaalon se bhar rahaa hai
to raat itni tavil kar de ki taa-qayaamat sahar na aae
baad muddat mujhe niind aai baDe chain ki niind
khaak jab oDh li jab khaak bichhaa li main ne
بعد مدت مجھے نیند آئی بڑے چین کی نیند
خاک جب اوڑھ لی جب خاک بچھا لی میں نے
बा'द मुद्दत मुझे नींद आई बड़े चैन की नींद
ख़ाक जब ओढ़ ली जब ख़ाक बिछा ली मैं ने

andheri shab kaa ye khvaab-manzar mujhe ujaalon se bhar rahaa hai
to raat itni tavil kar de ki taa-qayaamat sahar na aae
husn-o-jamaal-o-zist ki aaraaishein fuzul
ishq-o-junun ki aag jo dil mein javaan na ho
lo hamaaraa javaab le jaao
ye mahaktaa gulaab le jaao
Thiik hai jaao ta'alluq na rakheinge ham bhi
tum bhi vaada karo ab yaad nahin aaoge
jin ke mazbut iraade bane pahchaan un ki
manzilein aap hi ho jaati hain aasaan un ki
dil ke gulshan mein tire pyaar ki khushbu paa kar
rang rukhsaar pe phulon se khilaa karte hain