Shayari
ghulaami mein na kaam aati hain shamshirein na tadbirein
jo ho zauq-e-yaqin paidaa to kaT jaati hain zanjirein
tu hai muhit-e-be-karaan main huun zaraa si aabju
yaa mujhe ham-kanaar kar yaa mujhe be-kanaar kar
تو ہے محیط بیکراں میں ہوں ذرا سی آب جو
یا مجھے ہمکنار کر یا مجھے بے کنار کر
tū hai muhīt-e-be-karāñ maiñ huuñ zarā sī aabjū
yā mujhe ham-kanār kar yā mujhe be-kanār kar

Sir Muhammad Iqbal was a philosopher, poet, and politician whose poetry revolves around self-realisation and the ideal of a perfect human being.
Sir Muhammad Iqbal was a philosopher, poet, and politician whose poetry revolves around self-realisation and the ideal of a perfect human being.
1877–1938
View all quotes by Allama Iqbalghulaami mein na kaam aati hain shamshirein na tadbirein
jo ho zauq-e-yaqin paidaa to kaT jaati hain zanjirein
apne man mein Duub kar paa jaa suraagh-e-zindagi
tu agar meraa nahin bantaa na ban apnaa to ban
nahin is khuli fazaa mein koi gosha-e-faraaghat
ye jahaan ajab jahaan hai na qafas na aashiyaana
haan dikhaa de ai tasavvur phir vo subh o shaam tu
dauD pichhe ki taraf ai gardish-e-ayyaam tu
azaab-e-daanish-e-haazir se baa-khabar huun main
ki main is aag mein Daalaa gayaa huun misl-e-khalil
saare jahaan se achchhaa hindostaan hamaaraa
ham bulbulein hain is ki ye gulsitaan hamaaraa