Shayari
jo hansnaa hansaanaa hotaa hai
rone ko chhupaanaa hotaa hai
ajiib lutf thaa naadaaniyon ke aalam mein
samajh mein aaiin to baaton kaa vo maza bhi gayaa
عجیب لطف تھا نادانیوں کے عالم میں
سمجھ میں آئیں تو باتوں کا وہ مزہ بھی گیا
अजीब लुत्फ़ था नादानियों के आलम में
समझ में आईं तो बातों का वो मज़ा भी गया

jo hansnaa hansaanaa hotaa hai
rone ko chhupaanaa hotaa hai
is vaqt vahaan kaun dhuaan dekhne jaae
akhbaar mein paDh leinge kahaan aag lagi thi
chaae bhi achchhi banaati hain miri begam magar
munh banaane mein to un kaa koi saani hi nahin
raat aai hai balaaon se rihaai degi
ab na divaar na zanjir dikhaai degi
main apne dushmanon kaa kis qadar mamnun huun 'anvar'
ki un ke shar se kyaa kyaa khair ke pahlu nikalte hain
hamein qarina-e-ranjish kahaan mayassar hai
ham apne bas mein jo hote tiraa gilaa karte