Shayari
'ghaalib' ke martabe se ye vaaqif nahin 'asad'
ye bad-lihaaz nasl hai ahd-e-jadid ki
yusuf ke liye hain sar-e-baazaar ikaTThe
qismat se hue aaj kharidaar ikaTThe
یوسف کے لیے ہیں سر بازار اکٹھے
قسمت سے ہوئے آج خریدار اکٹھے
यूसुफ़ के लिए हैं सर-ए-बाज़ार इकट्ठे
क़िस्मत से हुए आज ख़रीदार इकट्ठे

'ghaalib' ke martabe se ye vaaqif nahin 'asad'
ye bad-lihaaz nasl hai ahd-e-jadid ki
subut aaj bhi meri kitaab mein hai 'asad'
vo ek ruqa tiraa tere dastakhat ke saath
jo apne zo'm mein rahte hain aise logon ko
nazar mein rakhte hain dil se utaar dete hain
guzar na jaae ye mausam basant kaa mausam
banafsha phuul khile har taraf zamin ke liye
zaakir-e-aal-e-mohammad hai tu mimbar pe 'asad'
ibn-e-marjaana ke jaisaa ye labaada kaisaa
ik nai tarz kaa kirdaar diyaa jaaegaa
is kahaani mein mujhe maar diyaa jaaegaa