Shayari
bichhaD ke tujh se kisi dusre pe marnaa hai
ye tajraba bhi isi zindagi mein karnaa hai
bahut se logon ko main bhi ghalat samajhtaa huun
bahut se log mujhe bhi buraa bataate hain
بہت سے لوگوں کو میں بھی غلط سمجھتا ہوں
بہت سے لوگ مجھے بھی برا بتاتے ہیں
बहुत से लोगों को मैं भी ग़लत समझता हूँ
बहुत से लोग मुझे भी बुरा बताते हैं

bichhaD ke tujh se kisi dusre pe marnaa hai
ye tajraba bhi isi zindagi mein karnaa hai
aate hain barg-o-baar darakhton ke jism par
tum bhi uThaao haath ki mausam duaa kaa hai
jise na meri udaasi kaa kuchh khayaal aayaa
main us ke husn pe ik roz khaak Daal aayaa
chaman vahi ki jahaan par labon ke phuul khilein
badan vahi ki jahaan raat ho gavaaraa bhi
mohabbatein bhi usi aadmi kaa hissa thiin
magar ye baat puraane zamaane vaali hai
meri rusvaai ke asbaab hain mere andar
aadmi huun so bahut khvaab hain mere andar