Shayari
bichhaD ke tujh se kisi dusre pe marnaa hai
ye tajraba bhi isi zindagi mein karnaa hai
puraane ghar ki shikasta chhaton se uktaa kar
nae makaan kaa naqsha banaataa rahtaa huun
پرانے گھر کی شکستہ چھتوں سے اکتا کر
نئے مکان کا نقشہ بناتا رہتا ہوں
पुराने घर की शिकस्ता छतों से उकता कर
नए मकान का नक़्शा बनाता रहता हूँ

bichhaD ke tujh se kisi dusre pe marnaa hai
ye tajraba bhi isi zindagi mein karnaa hai
aate hain barg-o-baar darakhton ke jism par
tum bhi uThaao haath ki mausam duaa kaa hai
jise na meri udaasi kaa kuchh khayaal aayaa
main us ke husn pe ik roz khaak Daal aayaa
chaman vahi ki jahaan par labon ke phuul khilein
badan vahi ki jahaan raat ho gavaaraa bhi
mohabbatein bhi usi aadmi kaa hissa thiin
magar ye baat puraane zamaane vaali hai
meri rusvaai ke asbaab hain mere andar
aadmi huun so bahut khvaab hain mere andar