Shayari
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
dushman-e-dil hi nahin dushman-e-jaan hotaa hai
uf vo ehsaas jo piiri mein javaan hotaa hai
دشمن دل ہی نہیں دشمن جاں ہوتا ہے
اف وہ احساس جو پیری میں جواں ہوتا ہے
दुश्मन-ए-दिल ही नहीं दुश्मन-ए-जाँ होता है
उफ़ वो एहसास जो पीरी में जवाँ होता है
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
ashk Dhalte nahin dekhe jaate
dil pighalte nahin dekhe jaate
ye do-dili mein rahaa ghar na ghaaT kaa 'anjum'
buton ko kar na sakaa khush khudaa ko paa na sakaa
ik nazar ne kiyaa hai kaam tamaam
aarzu bhi to thi yahi dil ki
vo bhi milne nai poshaak badal kar aayaa
main jo kal pairahan-e-khaak badal kar aayaa