Shayari
she'r kahnaa hai un ki aankhon par
dekhiye ban sake agar tasvir
vo bhi maqaam aae hai majnun ke bakht mein
lailaa dikhaai dene lage har darakht mein
وہ بھی مقام آئے ہے مجنوں کے بخت میں
لیلیٰ دکھائی دینے لگے ہر درخت میں
वो भी मक़ाम आए है मजनूँ के बख़्त में
लैला दिखाई देने लगे हर दरख़्त में

she'r kahnaa hai un ki aankhon par
dekhiye ban sake agar tasvir
kaun saa tujh se milaane ke liye aayaa hai
ye nayaa saal bhi jaane ke liye aayaa hai
kisi ki maut kaa dukh hai magar is se ziyaada
mujhe is baat kaa dukh hai ki koi ro rahaa hai
agar hai ishq sachchaa to nigaahon se bayaan hogaa
zabaan se bolnaa bhi kyaa koi izhaar hotaa hai
muskuraahaT oDh kar yuun hi nahin rahtaa huun main
jhaank kar dekho kabhi andar bahut TuuTaa huun main
khvaahish sab rakhte hain tujh ko paane ki
aur phir apni apni qismat hoti hai