Shayari
natija ek saa niklaa dimaagh aur dil kaa
ki donon haar gae imtihaan mein duniyaa ke
bujhi nahin mire aatish-kade ki aag abhi
uThaa nahin hai badan se dhuaan kahaan gayaa main
بجھی نہیں مرے آتش کدے کی آگ ابھی
اٹھا نہیں ہے بدن سے دھواں کہاں گیا میں
बुझी नहीं मिरे आतिश-कदे की आग अभी
उठा नहीं है बदन से धुआँ कहाँ गया मैं

natija ek saa niklaa dimaagh aur dil kaa
ki donon haar gae imtihaan mein duniyaa ke
main umr ko to mujhe umr khinchti hai ulaT
tazaad samt kaa hai asp aur savaar ke biich
qismat ki kharaabi hai ki jaataa huun ghalat samt
paDtaa hai bayaabaan bayaabaan se aage
dhuup javaani kaa yaaraana apni jagah
thak jaataa hai jism to saaya maangtaa hai
ajiib shakhs thaa main bhi bhulaa nahin paayaa
kiyaa na us ne bhi inkaar yaad aane se
har mulaaqaat kaa anjaam judaai thaa agar
phir ye hangaama mulaaqaat se pahle kyaa thaa