Shayari
donon laazim hain laa-zavaal bhi hain
ik tiraa husn ik miraa ye ishq
baat ahl-e-junun ki kyaa samjhe
vo khirad jo kaDe ziyaan mein hai

donon laazim hain laa-zavaal bhi hain
ik tiraa husn ik miraa ye ishq
tere saanche mein Dhal gayaa aakhir
shahr saaraa badal gayaa aakhir
jise bhi dost banaayaa vo ban gayaa dushman
ye ham ne kaun si taqsir ki sazaa paai
haar jaaegi zindagi lekin
haarne kaa nahin miraa ye ishq
kis saadgi se vo bhi daghaa de gayaa mujhe
jis shakhs ne kahaa thaa kabhi devtaa mujhe
tum use le chalo lab-e-kausar
ai farishto ye karbalaai hai