Shayari
donon laazim hain laa-zavaal bhi hain
ik tiraa husn ik miraa ye ishq
haar jaaegi zindagi lekin
haarne kaa nahin miraa ye ishq
ہار جائے گی زندگی لیکن
ہارنے کا نہیں مرا یہ عشق
हार जाएगी ज़िंदगी लेकिन
हारने का नहीं मिरा ये इश्क़

donon laazim hain laa-zavaal bhi hain
ik tiraa husn ik miraa ye ishq
tere saanche mein Dhal gayaa aakhir
shahr saaraa badal gayaa aakhir
jise bhi dost banaayaa vo ban gayaa dushman
ye ham ne kaun si taqsir ki sazaa paai
kis saadgi se vo bhi daghaa de gayaa mujhe
jis shakhs ne kahaa thaa kabhi devtaa mujhe
'farhat' sunaaun kis ko kahaani main gaanv ki
ghar ghar mein zinda laashein thiin majbur maaon ki
tum use le chalo lab-e-kausar
ai farishto ye karbalaai hai
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ham-nashin us ko jo laanaa hai to laa jald ki ham
thaame baiThe rahein kab tak dil-e-muztar apnaa
vo aashiqi ke khet mein saabit qadam huaa
jo koi zakhm-e-ishq liyaa dil ki Dhaal par
dil ki kyaa puchhe hai ik qatra-e-khun thaa hamdam
so gham-e-ishq ne aate hi use nosh kiyaa
vaarasta kar diyaa jise ulfat ne bas vo shakhs
kab daam-e-kufr o rishta-e-islaam mein phansaa