Shayari
zalzalon ki numud se 'farhat'
mustaqar mustaqar nahin rahte
betaabi-e-izhaar ne yuun khaak kiyaa hai
duzdida-nigaahi ne mujhe chaak kiyaa hai
بے تابیٔ اظہار نے یوں خاک کیا ہے
دزدیدہ نگاہی نے مجھے چاک کیا ہے
बेताबी-ए-इज़्हार ने यूँ ख़ाक किया है
दुज़दीदा-निगाही ने मुझे चाक किया है

zalzalon ki numud se 'farhat'
mustaqar mustaqar nahin rahte
tum use le chalo lab-e-kausar
ai farishto ye karbalaai hai
donon laazim hain laa-zavaal bhi hain
ik tiraa husn ik miraa ye ishq
tere saanche mein Dhal gayaa aakhir
shahr saaraa badal gayaa aakhir
jise bhi dost banaayaa vo ban gayaa dushman
ye ham ne kaun si taqsir ki sazaa paai
baat ahl-e-junun ki kyaa samjhe
vo khirad jo kaDe ziyaan mein hai