Shayari
vo chaand kah ke gayaa thaa ki aaj niklegaa
to intizaar mein baiThaa huaa huun shaam se main
dar-asl is jahaan ko zarurat nahin miri
har-chand is jahaan ke liye naa-guzir main
دراصل اس جہاں کو ضرورت نہیں مری
ہر چند اس جہاں کے لیے ناگزیر میں
दर-अस्ल इस जहाँ को ज़रूरत नहीं मिरी
हर-चंद इस जहाँ के लिए ना-गुज़ीर मैं

vo chaand kah ke gayaa thaa ki aaj niklegaa
to intizaar mein baiThaa huaa huun shaam se main
ek bose ke bhi nasib na hon
honTh itne bhi ab gharib na hon
phir soch ke ye sabr kiyaa ahl-e-havas ne
bas ek mahina hi to ramzaan rahegaa
mire ashaar hain vo aasmaani khvaab jin ko
miri miTTi ke honThon par utaaraa jaa rahaa hai
ik aayat-e-vajud huun miTTi ke Dher mein
mere nuzul ki to koi shaan hi nahin
mohabbat phuul banne par lagi thi
palaT kar phir kali kar li hai main ne