Shayari
har ik qayaas haqiqat se dur-tar niklaa
kitaab kaa na koi dars mo'tabar niklaa
palkon par apni kaun mujhe ab sajaaegaa
main huun vo rang jo tire paikar se kaT gayaa
پلکوں پر اپنی کون مجھے اب سجائے گا
میں ہوں وہ رنگ جو ترے پیکر سے کٹ گیا
पलकों पर अपनी कौन मुझे अब सजाएगा
मैं हूँ वो रंग जो तिरे पैकर से कट गया

har ik qayaas haqiqat se dur-tar niklaa
kitaab kaa na koi dars mo'tabar niklaa
kisi lamhe to khud se laa-taalluq bhi raho logo
masaail kam nahin phir zindagi bhar sochte rahnaa
khaak-e-'shibli' se khamir apnaa bhi uTThaa hai 'fazaa'
naam urdu kaa huaa hai isi ghar se unchaa
shab-gazida ko tire is ki khabar hi kab thi
din jo aaegaa gham-e-laa-mutanaahi degaa
kis tarah umr ko jaate dekhun
vaqt ko aankhon se ojhal kar de
vaqt ne kis aag mein itnaa jalaayaa hai mujhe
jis qadar raushan thaa main us se sivaa raushan huaa