Shayari
bijli chamki to abr royaa
yaad aa gai kyaa hansi kisi ki
zoaf se rahtaa hai ab paanv pe sar
aap-apni Thokarein khaate hain ham
ضعف سے رہتا ہے اب پاؤں پہ سر
آپ اپنی ٹھوکریں کھاتے ہیں ہم
ज़ोफ़ से रहता है अब पाँव पे सर
आप-अपनी ठोकरें खाते हैं हम

bijli chamki to abr royaa
yaad aa gai kyaa hansi kisi ki
har gaam pe hi saae se ik misraa-e-mauzun
gar chand qadam chaliye to kyaa khuub ghazal ho
aasmaan kahte hain jis ko vo zamin-e-sher hai
maah-e-nau misraa hai vasf-e-abru-e-khamdaar mein
vo tifl-e-nusairi aae shaayad
qasmein duun murtazaa-ali ki
khaar chubh kar jo TuTtaa hai kabhi
aabla phuuT phuuT rotaa hai
saare quraan se us pari-ru ko
yaad ik lafz-e-lan-taraani hai