Shayari
ye vasl ki khvaahish bhi miyaan bul-havasi hai
jis dil mein mohabbat ho tamanna nahin hoti
agar jahaan mein koi aainaa nahin teraa
to phir tujhi ko tire ru-ba-ru karungaa main
اگر جہاں میں کوئی آئنا نہیں تیرا
تو پھر تجھی کو ترے رو بہ رو کروں گا میں
अगर जहाँ में कोई आइना नहीं तेरा
तो फिर तुझी को तिरे रू-ब-रू करूँगा मैं

ye vasl ki khvaahish bhi miyaan bul-havasi hai
jis dil mein mohabbat ho tamanna nahin hoti
javaaz kuchh nahin hotaa hamaari khushiyon kaa
udaas rahne kaa koi sabab nahin hotaa
vo ik jagah na kahin rah sakaa aur us ke saath
kiraaya-daar the ham bhi makaan badalte rahe
har shai ko zamin apni taraf khinch rahi hai
kab aataa hai dharti pe gagan dekhte rahnaa
vo khafaa hain to rahein ham ko manaanaa bhi nahin
un ko aanaa bhi nahin ham ko bulaanaa bhi nahin
tabsira karte rahe ham zulmaton par
kho gayaa saaraa asaasa raushni mein