Shayari
main ne apni palkon par gham-kade sajaae hain
aarzu ke maatam mein sogvaar hasti hai
toD Daalein ham nizaam-e-khastagi
ye jahaan-e-kohna dobaaraa bane
توڑ ڈالیں ہم نظام خستگی
یہ جہان کہنہ دوبارا بنے
तोड़ डालें हम निज़ाम-ए-ख़स्तगी
ये जहान-ए-कोहना दोबारा बने

main ne apni palkon par gham-kade sajaae hain
aarzu ke maatam mein sogvaar hasti hai
main teri jumbish-e-mizhgaan se kaanp jaataa hon
agarche dil ko gham-e-do-jahaan se Dar bhi nahin
kitni naadida bahaaron ki tamannaa-e-javaan
daaman-e-jaan mein mire aag lagaa deti hai
ik janam ke pyaase bhi sair hon to ham jaanein
yuun to rahmat-e-yazdaan chaar-su barasti hai
udaas raaton ki tirgi mein na koi taaraa na koi jugnu
kisi kaa naqsh-e-qadam hi chamke to nuur kaa e'tibaar aae
vaqt ki laash pe rone ko jigar hai kis kaa
kis janaaze ko liye ahl-e-nazar aate hain