Shayari
ab aap aa gae hain to aataa nahin hai yaad
varna hamein kuchh aap se kahnaa zarur thaa
shaikh o panDit dharm aur islaam ki baatein karein
kuchh khudaa ke qahr kuchh inaam ki baatein karein
شیخ و پنڈت دھرم اور اسلام کی باتیں کریں
کچھ خدا کے قہر کچھ انعام کی باتیں کریں
शैख़ ओ पंडित धर्म और इस्लाम की बातें करें
कुछ ख़ुदा के क़हर कुछ इनआम की बातें करें

ab aap aa gae hain to aataa nahin hai yaad
varna hamein kuchh aap se kahnaa zarur thaa
jo Thokar hi nahin khaate vo sab kuchh hain magar vaaiz
vo jin ko dast-e-rahmat khud sambhaale aur hote hain
shabaab aayaa kisi but par fidaa hone kaa vaqt aayaa
miri duniyaa mein bande ke khudaa hone kaa vaqt aayaa
jinhein haasil hai teraa qurb khush-qismat sahi lekin
teri hasrat liye mar jaane vaale aur hote hain
milegi shaikh ko jannat, hamein dozakh ataa hogaa
bas itni baat hai jis baat par mahshar bapaa hogaa
hamein bhi aa paDaa hai doston se kaam kuchh yaani
hamaare doston ke bevafaa hone kaa vaqt aayaa