Shayari
gham se bikhraa na paaemaal huaa
main to gham se hi be-misaal huaa
jab khule naqd ke ausaaf ba-faiz-e-naqdi
kuchh risaalon ke editor bhi taraf-daar hue
جب کھلے نقد کے اوصاف بہ فیض نقدی
کچھ رسالوں کے اڈیٹر بھی طرف دار ہوئے
जब खुले नक़्द के औसाफ़ ब-फ़ैज़-ए-नक़्दी
कुछ रिसालों के एडीटर भी तरफ़-दार हुए

gham se bikhraa na paaemaal huaa
main to gham se hi be-misaal huaa
jo bhi kahnaa hai kaho saaf shikaayat hi sahi
in ishaaraat-o-kinaayaat se ji Dartaa hai
gard-e-shohrat ko bhi daaman se lipaTne na diyaa
koi ehsaan zamaane kaa uThaayaa hi nahin
saraa-e-dil mein jagah de to kaaT luun ik raat
nahin hai shart ki mujh ko sharik-e-khvaab banaa
ai sabaa main bhi thaa aashufta-saron mein yaktaa
puchhnaa dilli ki galiyon se miraa naam kabhi
kuchh usulon kaa nasha thaa kuchh muqaddas khvaab the
har zamaane mein shahaadat ke yahi asbaab the