Shayari
kam nahin ai dil-e-betaab mataa-e-ummid
dast-e-mai-khvaar mein khaali hi sahi jaam to hai
saraa-e-dil mein jagah de to kaaT luun ik raat
nahin hai shart ki mujh ko sharik-e-khvaab banaa
سرائے دل میں جگہ دے تو کاٹ لوں اک رات
نہیں ہے شرط کہ مجھ کو شریک خواب بنا
सरा-ए-दिल में जगह दे तो काट लूँ इक रात
नहीं है शर्त कि मुझ को शरीक-ए-ख़्वाब बना

kam nahin ai dil-e-betaab mataa-e-ummid
dast-e-mai-khvaar mein khaali hi sahi jaam to hai
kuchh usulon kaa nasha thaa kuchh muqaddas khvaab the
har zamaane mein shahaadat ke yahi asbaab the
gham se bikhraa na paaemaal huaa
main to gham se hi be-misaal huaa
jo bhi kahnaa hai kaho saaf shikaayat hi sahi
in ishaaraat-o-kinaayaat se ji Dartaa hai
gard-e-shohrat ko bhi daaman se lipaTne na diyaa
koi ehsaan zamaane kaa uThaayaa hi nahin
'iqbaal' ki navaa se musharraf hai go 'naim'
urdu ke sar pe 'mir' ki ghazlon kaa taaj hai
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
muddaton mein aaj dil ne faisla aakhir diyaa
khub-surat hi sahi lekin ye duniyaa jhuuT hai
tu ne ek umr ke baa'd puchhaa hai haal-e-dil
vahi dard-o-gham vahi hasratein mire saath hain
dil ke auraaq mein mahki hui kaliyon ki tarah
ek ik yaad tiri hasb-e-zarurat rakh li
aas Duubi to dil huaa raushan
bujh gayaa dil to dil ke daagh jale