Shayari
allaah taa-qayaamat tujh ko rakhe salaamat
kyaa kyaa sitam na dekhe ham ne tire karam se
J
Joshish Azimabadibe-gunah kahtaa phire hai aap ko
shaikh nasl-e-hazrat-e-aadam nahin
بے گنہ کہتا پھرے ہے آپ کو
شیخ نسل حضرت آدم نہیں
बे-गुनह कहता फिरे है आप को
शैख़ नस्ल-ए-हज़रत-ए-आदम नहीं
allaah taa-qayaamat tujh ko rakhe salaamat
kyaa kyaa sitam na dekhe ham ne tire karam se
tujh se ham-bazm hon nasib kahaan
tu kahaan aur main gharib kahaan
zaahid na rahne paaeinge aabaad mai-kade
jab tak na Dhaaiyegaa tiri khaanqaah ko
vo maah bhar ke jaam-e-mai-naab le gayaa
ik dam mein aaftaab ko mahtaab le gayaa
ai zulf-e-yaar tujh se bhi aashufta-tar huun main
mujh saa na koi hogaa pareshaan-e-rozgaar
chashm-e-vahdat se gar koi dekhe
but-parasti bhi haq-parasti hai