Shayari
allaah taa-qayaamat tujh ko rakhe salaamat
kyaa kyaa sitam na dekhe ham ne tire karam se
J
Joshish Azimabadishart andaaz hai agar aae
baat chhoTi ho yaa baDi munh par
شرط انداز ہے اگر آئے
بات چھوٹی ہو یا بڑی منہ پر
शर्त अंदाज़ है अगर आए
बात छोटी हो या बड़ी मुँह पर
allaah taa-qayaamat tujh ko rakhe salaamat
kyaa kyaa sitam na dekhe ham ne tire karam se
tujh se ham-bazm hon nasib kahaan
tu kahaan aur main gharib kahaan
zaahid na rahne paaeinge aabaad mai-kade
jab tak na Dhaaiyegaa tiri khaanqaah ko
vo maah bhar ke jaam-e-mai-naab le gayaa
ik dam mein aaftaab ko mahtaab le gayaa
ai zulf-e-yaar tujh se bhi aashufta-tar huun main
mujh saa na koi hogaa pareshaan-e-rozgaar
chashm-e-vahdat se gar koi dekhe
but-parasti bhi haq-parasti hai