Shayari
guzar rahi hai jo dil par vahi haqiqat hai
gham-e-jahaan kaa fasaana gham-e-hayaat se puchh
ham log to akhlaaq bhi rakh aae hain 'saahil'
raddi ke isi Dher mein aadaab paDe the
ہم لوگ تو اخلاق بھی رکھ آئے ہیں ساحلؔ
ردی کے اسی ڈھیر میں آداب پڑے تھے
हम लोग तो अख़्लाक़ भी रख आए हैं 'साहिल'
रद्दी के इसी ढेर में आदाब पड़े थे

guzar rahi hai jo dil par vahi haqiqat hai
gham-e-jahaan kaa fasaana gham-e-hayaat se puchh
chamak rahe the andhere mein soch ke jugnu
main apni yaad ke kheme mein so nahin paayaa
junun kaa koi fasaana to haath aane do
main ro paDungaa bahaana to haath aane do
khvaab dekhaa thaa mohabbat kaa mohabbat ki qasam
phir isi khvaab ki taabir mein masruf thaa main
bas ek khauf thaa zinda tiri judaai kaa
miraa vo aakhiri dushman bhi aaj maaraa gayaa
main tamaashaa huun tamaashaai hain chaaron jaanib
sharm hai sharm ke maare nahin ro saktaa main