Shayari
tum in lakiron mein ik khushi bhi talaash kar lo to moajiza hai
ki main to bachpan se jaantaa huun miri hatheli kaa naam dukh hai
miri aarzuon ke siip kaa kisi aab-e-naisaan se mel kar
mujhe aashnaa-e-visaal kar miri bekali ko qaraar de
مری آرزؤں کے سیپ کا کسی آب نیساں سے میل کر
مجھے آشنائے وصال کر مری بیکلی کو قرار دے
मिरी आरज़ुओं के सीप का किसी आब-ए-नैसाँ से मेल कर
मुझे आश्ना-ए-विसाल कर मिरी बेकली को क़रार दे

tum in lakiron mein ik khushi bhi talaash kar lo to moajiza hai
ki main to bachpan se jaantaa huun miri hatheli kaa naam dukh hai
hazrat-e-josh ke divaan kaa jab zikr chale
kitni hasrat se hamein urdu zabaan dekhti hai
hami vo ilm ke raushan charaagh hain jin ko
havaa bujhaati nahin hai salaam karti hai
jis tarah aap ne bimaar se rukhsat li hai
saaf lagtaa hai janaaze mein nahin aaeinge
kahaan se aai thi aakhir tiri talab mujh mein
khudaa ne mujh ko banaayaa to main akelaa thaa
main agar khud ko maar Daalun to
kyaa bachegaa tiri kahaani mein