Quote
"phir se lahu lahu dar-o-divaar dekh le jo bhi dikhaae vaqt vo naa-chaar dekh le apne gale pe chalti chhuri kaa bhi dhyaan rakh vo tez hai yaa kund zaraa dhaar dekh le phir chhuTne se pahle hi apne vajud ko maujud bachpanon mein giraftaar dekh le ghustaa chalaa hai peT mein har aadmi kaa sar tujh se bhi ho sakegaa na inkaar dekh le yuun roz roz karte adaa-kaariyaan tiri surat badal gai hai mire yaar dekh le"