Shayari
dhimaa dhimaa dard suhaanaa ham ko achchhaa lagtaa thaa
dukhte ji ko aur dukhaanaa ham ko achchhaa lagtaa thaa
pusht par qaatil kaa khanjar saamne andhaa kuaan
bach ke jaaun kis taraf ab raasta koi nahin
پشت پر قاتل کا خنجر سامنے اندھا کنواں
بچ کے جاؤں کس طرف اب راستہ کوئی نہیں
पुश्त पर क़ातिल का ख़ंजर सामने अंधा कुआँ
बच के जाऊँ किस तरफ़ अब रास्ता कोई नहीं

shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
yuun to maujud apne ghar mein hai
aadmi mustaqil safar mein hai
safar mein aise kai marhale bhi aate hain
har ek moD pe kuchh log chhuT jaate hain
miri tamannaa hai ab ke tum phir milo to ji bhar ke muskuraaein
ki dekhnaa hai ye raushni kaa safar bahut der baa'd jaa kar
us musaafir ki naqaahat kaa Thikaana kyaa hai
sang-e-manzil jise divaar nazar aane lage
der tak mil ke rote rahe raah mein
un se baDhtaa huaa faaslaa aur main