Shayari
mohabbat bad-gumaan ho jaae to zinda nahin rahti
asar dil par tumhaari be-rukhi se kuchh nahin hotaa
jinhein ab gardish-e-aflaak paidaa kar nahin sakti
kuchh aisi hastiyaan bhi dafn hain gor-e-gharibaan mein
جنہیں اب گردش افلاک پیدا کر نہیں سکتی
کچھ ایسی ہستیاں بھی دفن ہیں گور غریباں میں
जिन्हें अब गर्दिश-ए-अफ़्लाक पैदा कर नहीं सकती
कुछ ऐसी हस्तियाँ भी दफ़्न हैं गोर-ए-ग़रीबाँ में

mohabbat bad-gumaan ho jaae to zinda nahin rahti
asar dil par tumhaari be-rukhi se kuchh nahin hotaa
mohabbat ke liye kuchh khaas dil makhsus hote hain
ye vo naghma hai jo har saaz par gaayaa nahin jaataa
kise apnaa banaaein koi is qaabil nahin miltaa
yahaan patthar bahut milte hain lekin dil nahin miltaa
mohabbat ho to jaati hai mohabbat ki nahin jaati
ye shoala khud bhaDak uThtaa hai bhaDkaayaa nahin jaataa
musaafir apni manzil par pahunch kar chain paate hain
vo maujein sar paTakti hain jinhein saahil nahin miltaa
chaman tum se ibaarat hai bahaarein tum se zinda hain
tumhaare saamne phulon se murjhaayaa nahin jaataa