Shayari
main us ke badan ki muqaddas kitaab
nihaayat aqidat se paDhtaa rahaa
din Dhal rahaa thaa jab use dafnaa ke aae the
suraj bhi thaa malul zamin par jhukaa huaa
دن ڈھل رہا تھا جب اسے دفنا کے آئے تھے
سورج بھی تھا ملول زمیں پر جھکا ہوا
दिन ढल रहा था जब उसे दफ़ना के आए थे
सूरज भी था मलूल ज़मीं पर झुका हुआ

main us ke badan ki muqaddas kitaab
nihaayat aqidat se paDhtaa rahaa
kamre mein maze ki raushni ho
achchhi si koi kitaab dekhun
nayaa saal divaar par Taang de
puraane baras kaa calendar giraa
aur baazaar se kyaa le jaaun
pahli baarish kaa mazaa le jaaun
donon ke dil mein khauf thaa maidaan-e-jang mein
donon kaa khauf faasla thaa darmiyaan kaa
us se bichhaDte vaqt main royaa thaa khub-saa
ye baat yaad aai to pahron hansaa kiyaa