Shayari
rakhte hain jo allaah ki qudarat pe bharosa
duniyaa mein kisi ki vo khushaamad nahin karte
un ki nigaah-e-lutf ki taasir kyaa kahun
zarre ko aaftaab banaa kar chale gae
ان کی نگاہ لطف کی تاثیر کیا کہوں
ذرے کو آفتاب بنا کر چلے گئے
उन की निगाह-ए-लुत्फ़ की तासीर क्या कहूँ
ज़र्रे को आफ़्ताब बना कर चले गए

rakhte hain jo allaah ki qudarat pe bharosa
duniyaa mein kisi ki vo khushaamad nahin karte
raaste mein mil gae to puchh lete hain mizaaj
is se baDh kar aur kyaa un ki inaayat chaahiye
hadis-e-dil ba-zabaan-e-nazar bhi kah na sakaa
huzur-e-husn baDhi aur bebasi meri
khudaa jaane ye soz-e-zabt hai yaa zakhm-e-naakaami
kabhi hoti na thi siine mein lekin ye jalan pahle
duniyaa ke is ibrat-khaane mein haalaat badalte rahte hain
jo log the kal mashhur-e-jahaan hain aaj vahi gumnaami mein
vajh-e-sukun na ban sakin husn ki dil-navaaziyaan
baDh gaiin aur uljhanein tum ne jo muskuraa diyaa