Shayari
is tarah mere gunaahon ko vo dho deti hai
maan bahut ghusse mein hoti hai to ro deti hai
vo aadmi hai to ehsaas-e-jurm kaafi hai
vo sang hai to use sangsaar kyaa karnaa
وہ آدمی ہے تو احساس جرم کافی ہے
وہ سنگ ہے تو اسے سنگسار کیا کرنا
वो आदमी है तो एहसास-ए-जुर्म काफ़ी है
वो संग है तो उसे संगसार क्या करना

is tarah mere gunaahon ko vo dho deti hai
maan bahut ghusse mein hoti hai to ro deti hai
ek aansu bhi hukumat ke liye khatra hai
tum ne dekhaa nahin aaankhon kaa samundar honaa
ye soch kar ki tiraa intizaar laazim hai
tamaam umr ghaDi ki taraf nahin dekhaa
phir karbalaa ke baa'd dikhaai nahin diyaa
aisaa koi bhi shakhs ki pyaasaa kahein jise
kal apne-aap ko dekhaa thaa maan ki aankhon mein
ye aaina hamein buDhaa nahin bataataa hai
tumhaari aankhon ki tauhin hai zaraa socho
tumhaaraa chaahne vaalaa sharaab piitaa hai