Shayari
tujh ko hai naaqidin se nafrat
tere kamre mein aaina kyon hai
banaa liyaa hai yahaan is liye makaan main ne
ye vo jagah hai jahaan mujh se koi bichhDaa thaa
بنا لیا ہے یہاں اس لیے مکاں میں نے
یہ وہ جگہ ہے جہاں مجھ سے کوئی بچھڑا تھا
बना लिया है यहाँ इस लिए मकाँ मैं ने
ये वो जगह है जहाँ मुझ से कोई बिछड़ा था

tujh ko hai naaqidin se nafrat
tere kamre mein aaina kyon hai
uf rahbaron mein aisaa koi raahbar nahin
jis ki nigaah zarre mein khurshid DhunD le
main sabr kar rahaa huun to zaalim hai taa'na-zan
us ko khabar nahin ki khudaa mere saath hai
kirdaar rahnumaa kaa mujhe lag rahaa hai yuun
talvaar jaise ho kisi paagal ke haath mein
use daulat kamaane ki havas thi
nazar se ab nazaara ho gai hai
aai vo rafta rafta taqaddus ki raah tak
phir yuun huaa ki niyyat-e-naaseh bigaD gai