Shayari
jise mol lenaa ho le le khushi se
main is vaqt donon jahaan bechtaa huun
judaa kisi se kisi kaa gharaz habib na ho
ye daagh vo hai ki dushman ko bhi nasib na ho
جدا کسی سے کسی کا غرض حبیب نہ ہو
یہ داغ وہ ہے کہ دشمن کو بھی نصیب نہ ہو
judā kisī se kisī kā ġharaz habīb na ho
ye daaġh vo hai ki dushman ko bhī nasīb na ho

jise mol lenaa ho le le khushi se
main is vaqt donon jahaan bechtaa huun
ghash khaa ke giraa pahle hi shoale ki jhalak se
muusaa ko bhalaa kahiye to kyaa tuur ki sujhi
mai bhi hai miinaa bhi hai saaghar bhi hai saaqi nahin
dil mein aataa hai lagaa dein aag mai-khaane ko ham
dekhe na mujhe kyunkar az-chashm-e-hiqaarat-u
vo sarv-e-javaan yaaro man-faakhta-e-piram
mazmun-e-sard-mehri-e-jaanaan raqam karun
gar haath aae kaaghaz-e-kashmir kaa varaq
vo aap se ruThaa nahin manne kaa 'nazir' aah
kyaa dekhe hai chal paanv paD aur us ko manaa laa