Shayari
ham apne pairon kaa ek kaanTaa nikaalne ke liye ruke the
bas itne lamhe kaa bitnaa thaa ki ham se aage nikal gae sab
ham logon ko samjhe aur na logon ne ham ko samjhaa
ham logon ko aur ham ko samjhaa samjhaa kar haare log
ہم لوگوں کو سمجھے اور نہ لوگوں نے ہم کو سمجھا
ہم لوگوں کو اور ہم کو سمجھا سمجھا کر ہارے لوگ
हम लोगों को समझे और न लोगों ने हम को समझा
हम लोगों को और हम को समझा समझा कर हारे लोग

ham apne pairon kaa ek kaanTaa nikaalne ke liye ruke the
bas itne lamhe kaa bitnaa thaa ki ham se aage nikal gae sab
'ishq ki chaadar laayaa huun aur khaas baat ye hai is mein
jitne pair pasaaro ye utni lambi ho jaati hai
dukh ke baazaar mein ham zabt kamaane vaale
ashk ko aankh kaa nuqsaan kahaa karte hain
sar yuun jhukte chale jaate hain ki gir hi na paDein
aisi 'izzat mire sarkaar buri lagti hai
kisi samundar se ek qatra agar nikal kar nadi ki jaanib
qadam uThaa le to vo safar ik misaal hogaa kamaal hogaa
khushk gul phir bhi kitaabon mein bhale lagte hain
zang lag jaae to talvaar buri lagti hai