Shayari
mere siine se nikaalo miri buniyaad ki jaan
itni aasaani se viraan nahin hotaa main
is mulaaqaat ko zanjir ki surat kar de
khud se miltaa huun to aape mein nahin rahtaa huun
اس ملاقات کو زنجیر کی صورت کر دے
خود سے ملتا ہوں تو آپے میں نہیں رہتا ہوں
इस मुलाक़ात को ज़ंजीर की सूरत कर दे
ख़ुद से मिलता हूँ तो आपे में नहीं रहता हूँ

mere siine se nikaalo miri buniyaad ki jaan
itni aasaani se viraan nahin hotaa main
ham ko vaise bhi koi kaam nahin aataa hai
aur ye kaam haqiqat ko fasaana karnaa
ab ye pathraai hui aankhein liye phirte raho
main ne kab tum se kahaa thaa mujhe itnaa dekho
saare naakaam-e-tamannaa mire dil tak aa jaaein
aaj vo kaam kareinge ki jo hone kaa nahin
vo ye kahte hain sadaa ho to tumhaare jaisi
is kaa matlab to yahi hai ki pukaare jaao
vo to bachchon ki patangon ne use gher liyaa
varna chupke se nikal jaati bahaar aai hui