Shayari
manzil pe pahunch sakte nahin aise musaafir
har gaam pe ho khauf jinhein aabla-paa kaa
main ziist ke safar mein akeli jo chal paDi
azm-o-junun-o-shauq mire kaarvaan hue
میں زیست کے سفر میں اکیلی جو چل پڑی
عزم و جنوں و شوق مرے کارواں ہوئے
मैं ज़ीस्त के सफ़र में अकेली जो चल पड़ी
अज़्म-ओ-जुनूँ-ओ-शौक़ मिरे कारवाँ हुए

shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
miri tamannaa hai ab ke tum phir milo to ji bhar ke muskuraaein
ki dekhnaa hai ye raushni kaa safar bahut der baa'd jaa kar
safar mein aise kai marhale bhi aate hain
har ek moD pe kuchh log chhuT jaate hain
yuun to maujud apne ghar mein hai
aadmi mustaqil safar mein hai
zamin ki god mein itnaa sukun thaa 'anjum'
ki jo gayaa vo safar ki thakaan bhuul gayaa
uDaa ke khaak bahut main ne dekh li ai 'zeb'
vahaan talak to koi raasta nahin jaataa