Shayari
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
meraa honaa bhi koi honaa hai
meri hasti bhi koi hasti hai
میرا ہونا بھی کوئی ہونا ہے
میری ہستی بھی کوئی ہستی ہے
मेरा होना भी कोई होना है
मेरी हस्ती भी कोई हस्ती है

'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
shor din ko nahin sone detaa
shab ko sannaaTaa jagaa detaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
paas aae to aur ho gae duur
ye kitne ajiib faasle hain
gham-gusaaro bahut udaas huun main
aaj bahlaa sako to aa jaao
us musaafir ki naqaahat kaa Thikaana kyaa hai
sang-e-manzil jise divaar nazar aane lage