Shayari
kisi bhi darja ri'aayat nahin hai vahshat mein
bichhaD ke us se tumhein qahqahe lagaane the
ham hain zanjiron ki khan-khan ke bigaaDe hue log
teri paazeb ki chhan-chhan mein nahin aa sakte
ہم ہیں زنجیروں کی کھن کھن کے بگاڑے ہوئے لوگ
تیری پازیب کی چھن چھن میں نہیں آ سکتے
हम हैं ज़ंजीरों की खन-खन के बिगाड़े हुए लोग
तेरी पाज़ेब की छन-छन में नहीं आ सकते

kisi bhi darja ri'aayat nahin hai vahshat mein
bichhaD ke us se tumhein qahqahe lagaane the
manaayaa jaa rahaa hai gham tumhaaraa
puraani film dekhi jaa rahi hai
hamaare khel ki guDiyaa tumhi ho
tumhaare khel kaa guDDaa nayaa hai
khuun se mazlum ke ho to gae raushan charaagh
raushni aisi hui phir shahr andhaa ho gayaa
faqat ye lakDi nahin hai tumhaari baisaakhi
shajar ke haath kaTe hain ise banaane mein
'ajib Dhang se mujh ko mili hai aazaadi
parinda pinjre mein pinjra havaa mein rakkhaa gayaa