Shayari
khiDki se jhaank kar kisi ne
manzar ko vaaqia banaayaa
lamha itni gunjaaish rakhtaa hai khud mein
aap us mein aane se pahle jaa sakte hain
لمحہ اتنی گنجائش رکھتا ہے خود میں
آپ اس میں آنے سے پہلے جا سکتے ہیں
लम्हा इतनी गुंजाइश रखता है ख़ुद में
आप उस में आने से पहले जा सकते हैं

khiDki se jhaank kar kisi ne
manzar ko vaaqia banaayaa
kunein ki samt bulaa le na koi khvaab mujhe
main apne baap kaa sab se hasin beTaa huun
sab ko qudrat thi khush-kalaami par
khaamushi mein zabaan-daraaz thaa main
dukh se do chaar saal chhoTaa huun
hijr se ek din baDaa huun
mohabbat aam saa ik vaaqia thaa
hamaare saath pesh aane se pahle
zinda ikaTThe ho rahe hain
lagtaa hai koi mar gayaa hai