Shayari
khiDki se jhaank kar kisi ne
manzar ko vaaqia banaayaa
mohabbat aam saa ik vaaqia thaa
hamaare saath pesh aane se pahle
محبت عام سا اک واقعہ تھا
ہمارے ساتھ پیش آنے سے پہلے
मोहब्बत आम सा इक वाक़िआ' था
हमारे साथ पेश आने से पहले

khiDki se jhaank kar kisi ne
manzar ko vaaqia banaayaa
kunein ki samt bulaa le na koi khvaab mujhe
main apne baap kaa sab se hasin beTaa huun
sab ko qudrat thi khush-kalaami par
khaamushi mein zabaan-daraaz thaa main
aansu nahin banaa so ham ne
ujlat mein qahqaha banaayaa
main tire daaein baaein rahtaa huun
ai mire saamne ki majburi
zinda ikaTThe ho rahe hain
lagtaa hai koi mar gayaa hai
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ab ki jo raah-e-mohabbat mein uThaai taklif
sakht hoti hamein manzil kabhi aisi to na thi
tikhe to ho pa sach kaho us vaqt kyaa karo
tum ko gale lagaa le agar pyaar se koi
kaun dekhe use betaab-e-mohabbat ai dil
tu vo naale hi na kar jin mein asar hotaa hai
sab kuchh luTaa ke raah-e-mohabbat mein ahl-e-dil
khush hain ki jaise daulat-e-kaunain paa gae