Shayari
nazar rakhte hain us ki har adaa par
ba-zaahir be-khabar hote hue bhi
ham vahaan jaate to phans jaate usi ke jaal mein
duur hi se lauT aae dekh kar baazaar hai
ہم وہاں جاتے تو پھنس جاتے اسی کے جال میں
دور ہی سے لوٹ آئے دیکھ کر بازار ہے
हम वहाँ जाते तो फँस जाते उसी के जाल में
दूर ही से लौट आए देख कर बाज़ार है

nazar rakhte hain us ki har adaa par
ba-zaahir be-khabar hote hue bhi
hamaare 'ahd mein kyon jahl kaa hai rutba buland
shikast khaai hui aagahi savaal uThaa
ajiib khauf kaa aalam hai apne chaaron taraf
safar mein lagtaa hai ye aakhiri safar to nahin
har subh nikalte hain yahi soch ke ghar se
bikhri hui duniyaa ko sameTeinge kisi din
ab aur kyaa kahun main mohabbat ke baab mein
main un ke saath huun jo mohabbat ke saath hain
kitnaa dushvaar lag rahaa thaa safar
dekho ham aa gae vahaan se yahaan