Shayari
jab Duub ke marnaa hai to kyaa soch rahe ho
in jhiil si aankhon mein utar kyuun nahin jaate
ik nae tarz pe aabaad kareinge us ko
ham tire shahr ki pahchaan uThaa laae hain
اک نئے طرز پہ آباد کریں گے اس کو
ہم ترے شہر کی پہچان اٹھا لائے ہیں
इक नए तर्ज़ पे आबाद करेंगे उस को
हम तिरे शहर की पहचान उठा लाए हैं

jab Duub ke marnaa hai to kyaa soch rahe ho
in jhiil si aankhon mein utar kyuun nahin jaate
jang kaa shor bhi kuchh der to tham saktaa hai
phir se ik amn ki afvaah uDaa di jaae
tu mere saath nahin hai to sochtaa huun main
ki ab to tujh se bichhaDne kaa koi Dar bhi nahin
shaakh-e-mizhgaan pe mahakne lage zakhmon ke gulaab
pichhle mausam ki mulaaqaat ki bu zinda hai
in dinon apni bhi vahshat kaa ajab aalam hai
ghar mein ham dasht-o-bayaabaan uThaa laae hain
burida-sar ko sajaa de fasil-e-neza par
darida jism ko phir arsa-e-qitaal mein rakh