Shayari
zabaanein thak chukin patthar hue kaan
kahaani an-kahi thi an-kahi hai
vo koi aur hai jis ne tujhe chaahaa hogaa
shahr mein log bahut se miri surat ke bhi hain
وہ کوئی اور ہے جس نے تجھے چاہا ہوگا
شہر میں لوگ بہت سے مری صورت کے بھی ہیں
वो कोई और है जिस ने तुझे चाहा होगा
शहर में लोग बहुत से मिरी सूरत के भी हैं

zabaanein thak chukin patthar hue kaan
kahaani an-kahi thi an-kahi hai
shaayad isi baais huiin patthar miri aankhein
jo kuchh ki mujhe dekhnaa thaa dekh liyaa hai
khalq be-parvaa khudaa bandon se tang aayaa huaa
main akelaa phir rahaa huun hashr ke maidaan mein
ek se manzar dekh dekh kar aankhein dukhne lagti hain
is raste par peD bahut hain aur haraa koi bhi nahin
main sun rahaa huun magar dusron ko kaise sunaaun
jo giit gunjtaa rahtaa hai mere kaanon mein
bharpur nahin hain kisi chehre ke khad-o-khaal
dekhaa nahin vo chaand jo puuraa nazar aae