Shayari
bad-qismati ko ye bhi gavaaraa na ho sakaa
ham jis pe mar miTe vo hamaaraa na ho sakaa
log dushman hue usi ke 'shakeb'
kaam jis mehrbaan se niklaa
لوگ دشمن ہوئے اسی کے شکیبؔ
کام جس مہربان سے نکلا
लोग दुश्मन हुए उसी के 'शकेब'
काम जिस मेहरबान से निकला

bad-qismati ko ye bhi gavaaraa na ho sakaa
ham jis pe mar miTe vo hamaaraa na ho sakaa
koi bhulaa huaa chehra nazar aae shaayad
aaina ghaur se tu ne kabhi dekhaa hi nahin
aaj bhi shaayad koi phulon kaa tohfa bhej de
titliyaan manDlaa rahi hain kaanch ke gul-daan par
socho to silvaTon se bhari hai tamaam ruuh
dekho to ik shikan bhi nahin hai libaas mein
ye ek abr kaa TukDaa kahaan kahaan barse
tamaam dasht hi pyaasaa dikhaai detaa hai
tu ne kahaa na thaa ki main kashti pe bojh huun
aankhon ko ab na Dhaanp mujhe Dubte bhi dekh