Shayari
hain ab is fikr mein Duube hue ham
use kaise lage rote hue ham
tiri tarah nahin aasaan vaapsi meri
main raaston ko samajhtaa huaa nahin aaya
تری طرح نہیں آسان واپسی میری
میں راستوں کو سمجھتا ہوا نہیں آیا
तिरी तरह नहीं आसान वापसी मेरी
मैं रास्तों को समझता हुआ नहीं आया

hain ab is fikr mein Duube hue ham
use kaise lage rote hue ham
tasalli ab hui kuchh dil ko mere
tiri galiyon ko suunaa dekh aayaa
vo baat soch ke main jis ko muddaton jiitaa
bichhaDte vaqt bataane ki kyaa zarurat thi
kaun thaa vo jis ne ye haal kiyaa hai meraa
kis ko itni aasaani se haasil thaa main
saari duniyaa se laDe jis ke liye
ek din us se bhi jhagDaa kar liyaa
ab mujhe kaun jiit saktaa hai
tu mire dil kaa aakhiri Dar thaa