Shayari
koi to aa ke rulaa de ki hans rahaa huun main
bahut dinon se khushi ko taras rahaa huun main
aage aage koi mishal si liye chaltaa thaa
haae kyaa naam thaa us shakhs kaa puchhaa bhi nahin
آگے آگے کوئی مشعل سی لیے چلتا تھا
ہائے کیا نام تھا اس شخص کا پوچھا بھی نہیں
आगे आगे कोई मिशअल सी लिए चलता था
हाए क्या नाम था उस शख़्स का पूछा भी नहीं

koi to aa ke rulaa de ki hans rahaa huun main
bahut dinon se khushi ko taras rahaa huun main
miraa zamir bahut hai mujhe sazaa ke liye
tu dost hai to nasihat na kar khudaa ke liye
un se milte the to sab kahte the kyuun milte ho
ab yahi log na milne kaa sabab puchhte hain
kabhi ziyaada kabhi kam rahaa hai aankhon mein
lahu kaa silsila paiham rahaa hai aankhon mein
kitaab-e-husn hai tu mil khuli kitaab ki tarah
yahi kitaab to mar mar ke main ne azbar ki
us kaa honaa bhi bhari bazm mein hai vajh-e-sukun
kuchh na bole bhi to vo meraa taraf-daar lage