Shayari
main kahkashaaon mein khushiyaan talaashne niklaa
mire sitaare meraa chaand sab udaas rahe
tu jaa rahaa thaa bichhaD ke to har qadam pe tire
phisal rahi thi mire paanv se zamin bahut
تو جا رہا تھا بچھڑ کے تو ہر قدم پہ ترے
پھسل رہی تھی مرے پاؤں سے زمین بہت
तू जा रहा था बिछड़ के तो हर क़दम पे तिरे
फिसल रही थी मिरे पाँव से ज़मीन बहुत

main kahkashaaon mein khushiyaan talaashne niklaa
mire sitaare meraa chaand sab udaas rahe
zamin mere sajde se tharraa gai
mujhe aasmaan se pukaaraa gayaa
bichhaD jaaeinge ham donon zamin par
ye us ne aasmaan par likh diyaa hai
vasl mein suukh gai hai miri sochon ki zamin
hijr aae to miri soch ko shaadaab kare
likkhaa hai taarikh ke safhe safhe par ye
shaahon ko bhi daas banaayaa jaa saktaa hai
aaj meri ik ghazal ne us ke honTon ko chhuaa
aaj pahli baar apni shaairi achchhi lagi