Shayari
main jis ke saath kai din guzaar aayaa huun
vo mere saath basar raat kyuun nahin kartaa
main sukhan mein huun us jagah ki jahaan
saans lenaa bhi shaairi hai mujhe
میں سخن میں ہوں اس جگہ کہ جہاں
سانس لینا بھی شاعری ہے مجھے
मैं सुख़न में हूँ उस जगह कि जहाँ
साँस लेना भी शाइरी है मुझे

main jis ke saath kai din guzaar aayaa huun
vo mere saath basar raat kyuun nahin kartaa
teraa chup rahnaa mire zehn mein kyaa baiTh gayaa
itni aavaazein tujhe diin ki galaa baiTh gayaa
apni masti mein bahtaa dariyaa huun
main kinaara bhi huun bhanvar bhi huun
daastaan huun main ik tavil magar
tu jo sun le to mukhtasar bhi huun
vo jis ki chhaanv mein pachchis saal guzre hain
vo peD mujh se koi baat kyuun nahin kartaa
sahraa se ho ke baagh mein aayaa huun sair ko
haathon mein phuul hain mire paanv mein ret hai