Shayari
kitni dilkash hain ye baarish ki phuvaarein lekin
aisi baarish mein miri jaan bhi jaa sakti hai
tum mire paas na aao ki yahi behtar hai
paas aane se to pahchaan bhi jaa sakti hai
تم مرے پاس نہ آؤ کہ یہی بہتر ہے
پاس آنے سے تو پہچان بھی جا سکتی ہے
तुम मिरे पास न आओ कि यही बेहतर है
पास आने से तो पहचान भी जा सकती है

kitni dilkash hain ye baarish ki phuvaarein lekin
aisi baarish mein miri jaan bhi jaa sakti hai
jab se guzraa hai kisi husn ke baazaar se dil
dil ko mahsus ye hotaa hai ki baazaar huun main
main tire jism ke jab paar nikal jaaungaa
vasl ki raat baDi ghaur-talab hogi vo
jin se milnaa na huaa un se bichhaD kar roe
ham to aankhon ki har ik had se guzar kar roe
kai laashein hain mujh mein dafn yaani
main qabristaan huun shuruaat hi se
tum jise chaand kahte ho vo asl mein
aasmaan ke badan par koi ghaav hai