Shayari
niind aae to kuchh suraagh mile
kaun hai dafn mere khvaabon mein

Tripurari
Tripurari
niind aae to kuchh suraagh mile
kaun hai dafn mere khvaabon mein
mohabbat mein shikaayat kar rahaa huun
shikaayat mein mohabbat kar rahaa huun
tum jise chaand kahte ho vo asl mein
aasmaan ke badan par koi ghaav hai
kitni dilkash hain ye baarish ki phuvaarein lekin
aisi baarish mein miri jaan bhi jaa sakti hai
jab se guzraa hai kisi husn ke baazaar se dil
dil ko mahsus ye hotaa hai ki baazaar huun main
main tire jism ke jab paar nikal jaaungaa
vasl ki raat baDi ghaur-talab hogi vo
jin se milnaa na huaa un se bichhaD kar roe
ham to aankhon ki har ik had se guzar kar roe
kai laashein hain mujh mein dafn yaani
main qabristaan huun shuruaat hi se
jise tum DhunDti rahti ho mujh mein
vo laDkaa jaane kab kaa mar chukaa hai
ai havaa tu hi use eid-mubaarak kahiyo
aur kahiyo ki koi yaad kiyaa kartaa hai
pyaas aisi thi ki main saaraa samundar pi gayaa
par mire honTon ke ye donon kinaare jal gae
sher paDhte hue ye tum ne kabhi sochaa hai
sher kahte hue main kitni dafaa martaa huun