Shayari
log kaanTon se bach ke chalte hain
main ne phulon se zakhm khaae hain
ab ke baar mil ke yuun saal-e-nau manaaeinge
ranjishein bhulaa kar ham nafratein miTaaeinge
اب کے بار مل کے یوں سال نو منائیں گے
رنجشیں بھلا کر ہم نفرتیں مٹائیں گے
अब के बार मिल के यूँ साल-ए-नौ मनाएँगे
रंजिशें भुला कर हम नफ़रतें मिटाएँगे

log kaanTon se bach ke chalte hain
main ne phulon se zakhm khaae hain
dil TuTne se thoDi si taklif to hui
lekin tamaam umr ko aaraam ho gayaa
duniyaa mein vahi shakhs hai taazim ke qaabil
jis shakhs ne haalaat kaa rukh moD diyaa ho
miri namaaz-e-janaaza paDhi hai ghairon ne
mare the jin ke liye vo rahe vazu karte
ye hamin hain ki tiraa dard chhupaa kar dil mein
kaam duniyaa ke ba-dastur kiye jaate hain
jin ke kirdaar se aati ho sadaaqat ki mahak
un ki tadris se patthar bhi pighal sakte hain